featured-slider

Dard e Sar ya Sardard (Headache and Migraine)

 


jadeed tehqeeq k mutabiq sar dard khud koi bemari nahin bulkqh baz amraz khasosan amraz dimagh main se kisi aik marz ki alamat hai.








Note:



Tibbi Kutab main baqoul Shaikh ul Raes Bu Ali Sena "Sar" (Head) se murad Dimagh (Brain) aur is k parday hain. Itba-e-Qadeem ne asbab k lehaz se sar dard ki taqreban 28 aqsaam bayan ki hain.





Sardard ya Headache ki Tareef:



ye aik mashhoor marz hai. Tibb mashriq k lehaz se is ki 2 aqsaam hain.


1.Dard-e-sar asli


2.Dard-e-sar Sharki





1. Dard-e-Sar Asli:



ye woh dardsar hai jis ka sabab sar main mojood hota hai.


2. Dard-e-Sar Sharki:




Ye woh sardard hai jis ka sabab kisi dosray uzaw (Organ) main ho aur is ki sherkat se sar main dard hota ho tou is ko sharki Sardard kehty hain maslan Aankhon ki kamzori ki waja se , Qabaz (Constipation) ya tabkheer Maeda ki waja se sar main dard hota hai.





Sar Dard K Asbab:




  • Uzaw yani (Organ) ki kharabi se

  • Dimaghi mehnat, Pareshani,Fikar o Gham se 

  • Jisam main khoon ki miqdar ziada hone se

  • Safra k berh jane se (Jigar ki kharabi ya sharab peene se aysi sorat mian Ulti krne se ya dast se jab safra kharij hota hai tou dard khatam ho jata hai)

  • Joron k dard se 



Post a Comment

0 Comments