Aaj kal jismani kamzori, asabi thakan, mardana kamzori aur timing ke masail bohat aam ho chuke hain. Isi liye log aise qudrati nuskhe talaash karte hain jo bina zyada nuqsan ke jism ko taqat aur quwat dein. Majun Akbar Shahi ek riwayati Unani majun hai jo qudrati ajza se tayar ki jati hai aur jism ko andar se mazboot banane mein madad deti hai.
Ye majun khaas tor par:
Asabi kamzori
Jismani thakan
Mardana kamzori
Timing ke masail
Mani ki kamzori
Quwat-e-bah mein kami
mein mufeed samjhi jati hai.
Majun Akbar Shahi ke Ajza
Nar Choharay — 1 Pao (250 Gram)
Singhara — 1 Pao (250 Gram)
Gond Kikar Baryan Shuda — Aadha Pao (125 Gram)
Maghaz Badam — 70 Gram
Maghaz Fanduq — 15 Gram
Maghaz Panbah Dana — 50 Gram
Gokhru — 25 Gram
Aqar Qarha — 25 Gram
Nagar Motha — 25 Gram
Long — 6 Gram
Fifil daraz — 5 Gram
Darchini — 5 Gram
Javitri — 3 Gram
Cheeni ya Shehad — Tamam Advia ke wazan se 3 guna
Majun Akbar Shahi Banane ka Tarika
Nar choharon ki ghutliyan nikal kar achi tarah sukha lein.
Singhara, gokhru, aqar qarha, nagar motha, long aur javitri ko alag alag pees kar bareek powder bana lein.
Maghaz badam, maghaz fanduq aur maghaz panbah dana ko halka sa koot lein.
Gond kikar ko halka ghee mein bhon kar pees lein.
Ab tamam ajza ko kisi saaf bartan mein mix kar lein.
Cheeni ki 3 taar wali chashni tayar karein ya khalis shehad istemal karein.
Powder ko chashni ya shehad mein mila kar achi tarah mix karein.
Jab mixture gaadha ho jaye to ise kisi saaf shishe ke jar mein mehfooz kar lein.
Majun Akbar Shahi ke Fayde
1. Asabi Kamzori Door Kare
Ye majun dimagh aur asab ko taqat deti hai. Zehni thakan aur kamzori mein mufeed mani jati hai.
2. Jismani Taqat Barhaye
Is mein mojood maghziyat aur qudrati ajza jism ko energy aur taqat faraham karte hain.
3. Mardana Kamzori Mein Mufeed
Majun Akbar Shahi quwat-e-bah ko behtar banane mein madad deti hai aur mardana kamzori mein mufeed samjhi jati hai.
4. Erection Ko Support Kare
Aqar qarha aur gokhru jaise ajza mardana quwat aur erection strength ko support karne mein madadgar hote hain.
5. Mani Ko Ghara Karne Mein Madadgar
Singhara aur gond kikar mani ki kamzori aur patlepan mein mufeed samjhe jate hain.
6. Timing Behtar Banane Mein Madad
Ye majun jism ko quwat de kar jaldi farigh hone ke masail mein madadgar ho sakti hai.
7. Thakan aur Susti Door Kare
Rozana istemal se jism mein chusti aur taqat mehsoos hoti hai.
8. Hazma Behtar Kare
Long aur nagar motha hazme ko mazboot banane mein madad dete hain.
Istemal Karne ka Tarika
5 se 10 gram subah aur shaam neem garam doodh ke sath istemal karein.
Parhaiz
Zyada mirch masala kam khayein
Fast food aur cold drinks se parhez karein
Nasha آور cheezon se door rahen
Neend puri karein aur ghiza ka khayal rakhein
Ehtiyat
Garam mizaj afrad kam مقدار se shuru karein. Sugar ke mareez shehad ya cheeni ki wajah se hakeem se mashwara kar ke istemal karein.

