featured-slider

Jawan Larkon ki Problems | Kanwary larkon ke masly

Un Married Larkon ki Problems:

young boys problems Ye article un larkon ke liye hai jo abhi kanwary hain yani ghair shaadi shuda hain aur un ko koi problem aa rahi hai. Main article is liye likh raha hon kyoun ke mere pass jo bhi larky aty hain ya mujh se youtube ke through WhatsApp per rabta krty hain un ko chahy mamuli si bhi problem ho tou wo yehi kehty hain ke mujhe Jiryan ki problem hai. 
Pehle tou main ye bta don ke Jiryan asal main hai kya. Jiryan Arabi zaban ka lafz hai jis ka matlb hai "Jari ho jana". Misal ke tor per khoon agar jari ho jae jisam ke kisi bhi hissa se tou usy kahen gy jiryan e khoon. Isi tarah agar jism se mani ka ikhraj ho jae tou usy Jaryan e mani kehte hain magar hamary han aik bemari in lafz se mansoob kr di gai hai.asal jeryan ki bemari main mareez ki mani kisi bhi waqat khud hi kharaj ho jata hai aksar baghair sakhti ke bhi. Mujhe 7 saal ho gae hain Practice krty hue aur aaj tak asal Jaryan ka aik case aya hai mere pass. Umeed hai is se jiryan ki samjh aa gai hogi aap ko. 
Ab main aap ko btata hon nojawan larkon ki common problems ke bary main. 

Peshab se pehle ya baad main qatry ana:

Peshab se pehle ya baad main agar qatry aty hon tou is ki kuch reasons ho sakti hain jin main se aik sozak ka hona hai. Sozak aik bemari hai jis main insan ki peshab ki nali main sozish ya zakham ho jata hai aur us ki waja se peeshab ke saath pus nikalti hai aur dosra masla hota hai jis main peshab ke saath mani kharaj hoti hai. Isi liye behtar ye hai ke kisi achy hakeem se check krwa liya jae. Is problem ke liye ye medicine use jo sakti hain.  soty hue Ehtalam
  • Majun Mughaliz 
  • Laboob bard
  • Majun salab
  • Bohar ke doodh wali goliyan 

Ehtalam ka hona (Nightfall):

Raat soty hue eltalam ka hona yani soty hue neend main hi mani ka kharaj ho jana aik natural yani qudarti amal hai. Jesa ke Saqlain Mushtaq ne kaha tha ye tou qudrat ka nizam hai. Mazak se hat kr agar baat krain tou agar 30 din main aik se 2 dafa eltalam ho jae tou ye natural amal hai. 
Agar har raat Ehtalam ho raha ho ya phir har hafta 2 se 3 dafa eltalam ho raha hon ye ye aik masla hai aur is ka ilaj krna chahiye. 
Mostly logon ka khayal hai ke garmi jisam main ziada ho jane ki waja se ye masla hota hai magar is ki kai wajah ho sakti hain. Jin main kabz ka hona, hazma ki kharabi, gurda aur masana ki kamzori waghaira shamil hain. 
Is ke liye different medicine ati hain different type of problems ke liye is liye behtar hai ke kisi achy hakeem se check krwa liya jae. Is ke liye most common medicine jo use hoti hain un main se kuch ye hain. 
  • Rahat Tab
  • Safoof e Mughaliz 
  • Bohar ke doodh wali goliyan 
  • Majun Mughaliz 
  • Misali Hamdard 

Hiss ka berh jana Hiss ka berh jana:

Hiss ka berh jana aysi problem hai jo kafi larkon ko face krni perti hai jab wo balagh hona shuru hoty hain. Magar le zaruri nahin ke ye masla sirf Kanwary larkon ko ho bohat se shaadi shuda mardon ko bhi ye masla jo sakta hai. Ye masla jitna ziada hota hai us se shehwat bhi utni ziada berh jati hai. 
Jab ye problem hoti hai tou aksar zara si shehwat ane per bhi ehtalam ho jata hai aur aksar sakhti ane ki waja se jab nafs shalwar ya pant se halki si bhi ragar khata hai tou ehtalam ho jata hai. 
Is hiss ko kam krne ke liye kuch medicine ati hai wo ye hain. 
  • Asphaton Qarshi 
  • Jernide Hamdard 
  • Misali Hamdard

Sex ke khayal se pani ana:

Teen age main larkon ko aik bohat ziada masla hota hai ke jab bhi un ke zehan main koi sex ki baat ati hai ya phir wo porn dekhte hai ya phir jab apni girlfriend se phone per baat krty hain tou nafs se pani ke qatry nikna shuru ho jaty hain aur agar is doran wo nafs ko haath lagaain tou release ho jaty hain. Agar tou un ko bohat ziada maza aa raha ho tou ye sab natural hai aur agar un ko har dafa sakhti ane per qatry aty hon tou ye problem hoti hai aur is ka treatment krna chahiye. Is ke liye aap ye medicine use kr sakty hain. 
  • Jiryaneen
  • Majun Mughaliz 
  • Labob e kabir 
  • Laboob e Khas
  • Bohar ke doodh wali goliyan 



Post a Comment

0 Comments